Tuesday 10 April 2012

Baatein Kuch Enginnering Ki...


yaad ate hai woh din jab nahi thi jindagi ki koi manzil.
phir bhi khush the hum banake khud ko engineer hone k kabil.

naam se zalakta tha kuch ajib sa jazba.
sala ab tak pata nahi chal raha kya kiya aur kaha aa tapka.

abhi bhi yad ati hai woh college ki tapari jiski chay thi bhari.
ab toh yaha pe jo kabhi taste nahi kiya tha aisi ati hai chay hari.

nah socha tha ki woh din sab gujar jayenge..
abhi yaha aake sochta hun ab zindagi main wapas college kab jayenge.

1 book main thi 4 saal ki padhai.
kabhi JAVA to kabhi EMBEDDED ne puri enginnering sadayi. 

2 rupaye k pen se sara engg khatam kiya.
sala abtak nahi samaj aaya 1 raat main padhke paper itna kaise likh paya.

practicals main woh paperplanes udte the itne khaas
unke sath hi chale gaye college k woh jazbaat.

pehli tarikh ki woh party main tha kuch maja.
yahape har party matlab lagti hai 1 saja.

bill pay karne k zagde ab tak hai yaad.
par yahape toh har bill jata hai company k sath.

assignments ki notice facebook pe jyada hoti thi.
aur assignments submit karne se pehle hi submission date nikal jati thi.

teacher ko woh maska marna kaha ghul gaya.
par abtak woh khadus teacher ko na main bhul paya.

na tha kuch pane ka dar aur na tha kisi teacher ka lecture.
submission k tym barabar submit kiya jata certificate of fracture.

na raha woh assignment ka dar na raha ullu jaisa ratbhar jagna.
ab to sirf baki raha program aur excel main zakna.
soch main the sirf assignment aur grades.
ab sochta hun kitna badhega salary aur expense. 

birthday k din woh dosto k gale milna piche rah gaya.
ye saal toh mera birthday office main hi chala gaya.